Monday, February 20, 2017

Shah Talib Ahmed First Lub in 16 ( Part 17)



Pains are Always  another Step towards  Success  but  with Experiences .

 

 Part I


Sirf chand Alfaaz nahi
ye tere  sath Guzare hue Lamho k EhSAAS hah ..

Tere sath Gungunaye hue nagmo k saaz hah ..
gar ab na samje to samj lo k meri zindagi k nihayat hi khoobsurat lamhaat hah ..

Jo Baya na ho paye mere labo se  , badi  Shiddat  wali baaat hah..
aur Kaise samjhau tujhe tere mere darmiya kaise ye jasbaat hah ..

Khuli aakho se dekhe hah mene  ye wohi  khwab hah ..
keh to raha hu lafzo me magar tum jaante ho dil ki yeh baat hah ..

Har baar Tu Bheed se alag hoti hah na jane tujhme kya baat hah ..
Mujhe  har baar jeene ki wagah dene wali kuch alag hi teri  zaat hah ..


kuch lafzo me zahir nai kar sakta ese bhi khayalaat hah ..
Tujhe jaane wale mujhse kehte hah mere hi  jaise  tere bhi andaaz hah..


 Part II


Phir se mujhe tujhse pyar ho gya ..
Aisa lagta  hah k me tera Gunaahgaar ho gya..


Kaise batau tujhe ye to mujhe baar baar ho gya ..
Tujhe Bhulane k liye Aaakhe band ki aur tera deedar ho gya..


Na jane mere sath aisa kitna baar ho gya ..
Tere saath guzara Hare k lamha Yaadgaaar ho gya ..

Itna Duba h tere ishq me k me tera hi Talabgaar hi gya ..
ab to ek lamha  bhi tere bin jeena  dushwaaar ho gya..

Tanhaiyo  me teri yaado me khoya rehta tha ab to yeh mehfil me bhi kaii baar ho gya..
Itna Roya me us raat tera yaad me , logo ko ye laga jaise k me berozgaar ho gya..
usi raat se me Khusiyo se saare naate tod k ghamo ka haqdaar ho gya..


Teri umeed dil me liye hue chala aur phir tera deedar ho gya..
tere kahe hue chuninda alfazo se me phir se Gulzaar ho gya..
us pal esa laga k jaise phir se me khushiyo ka sardar ho gya ..
 


 Part III

Har shaqs k beech Mujhe Badnaam kar diya..
Aashiko me shamil mera bhi naam kar diya ..

Raato ki nind ana kya kam hui ..
is baat ko bhi sare aam kar diya .

Ye sab kar k unhone meri Maut ka intazaam kar diya ..
kitna Khoobsurat tha meri khushiyo bhara AAgaaz , par kitne ghamo se bhara mera Anjaam kar diya ..
Na jane maine unke liye kon sa Gunnah wala kaam kar diya ..
jo unhone meri har saas me Zehar gholne ka bhi kaam kar diyaa..

Jiski ibadat me chup chup k karta tha, usi ne mujhe Numaish ka saaman kar diya..
kaash Kuch aur pal hote zindagi k to poochta unse kyu unhone mera jeena haram kar diyaa..

Azad lehro si thii meri zindagi , teri ek harkat ne isme baandh ka kaam kar diya..
Pehle hi kafi tanha tha me is jaha me , phir bhi doosre jaha me tune mera intazaam kar diya..








Shah Talib Ahmed